The Beam Magazine presents a ghazal – ‘Lagane Jo Baitha Main Sood o Ziyan ka Hisaab‘ by Nehan Masood.
لگانے جو بیٹھا میں سود وزیاں کا حساب
جسم وروح پر اترتے دیکھے میں نے عذاب
وحشت دل نے پھر مجھ سےکیا یہ سوال
کیا ملا ہر ایک رفاقت سے سوائے اضطراب
کبھی جن کی زندگی کا سب ہی کچھ ہم تھے
وہ بھی پوچھتے ہیں کہ آپ کون جناب؟
اب سوالی ہوں میں کہ کیسے بھول گئے ہمیں
کہ دعویٰ تھاتمہارا،کہ ہم ہیں تمہاری زندگی کا آخری باب
محبت ہمیں بھی ہے جاناں،مگر عزت پر مقدم نہیں
نوچ لیےمیں نے اپنی آنکھوں سے رفاقت کے سبھی خواب
یہ سوچ کر میں نے بھی خود کو مطمئن کر لیا ہے نہاں
اس کی قسمت میں نہیں تھا ہم سا گوہرِ نایاب
( نہاں مسعود)
Lagane jo baitha main sood o ziyan ka hisaab
Jism o rooh par utarte dekhe main ne azaab
Wehshat e dil ne phir mujh se kiya ye sawal
Kya mila har ek rafaqat se siway iztarab
Kabhi jin ke zindagi ka sab hi kuch hum the
Woh bhi poochte hain ke aap koun janab?
Ab sawali hoon main ke kaise bhool gaye humein
Ke dawa tha tumhara, ke hum hain tumhari zindagi ka aakhri baab.
Mohabbat humein bhi hai janan, magar izzar par muqdam nahin
Noch liye main ne apni aankhon se rafaqat ke sabhi khwab
Ye soch kar main ne bhi khud ko mutmain kar liya hai Nehan
Us ki qismat mein nahin tha hum sa gohar e nayab.
(Nehan Masood)
For more English and Urdu poetry available on The Beam Magazine, CLICK HERE.
Good
Masha Allah Zabardast ❤