The Beam Magazine presents a ghazal – ‘Beja Husn Pe‘ by Iram Shehzadi.
بے جا حُسن پہ جا مر مٹتے ہیں
یہ حُسن والے بھی کیا کرتے ہیں
اہلِ ذوق یہ لوگ ہوتے ہیں
ان کے بھی کیا نرالے شوق ہوتے ہیں
محبوب کی اداوّں پہ فدا ہوتے ہیں
یہ دل پھینک بھی بلا کے ہوتے ہیں
یہ اپنی بھی اداوں سے مار دیتے ہیں
زلف کو جس ادا سے سنوار دیتے ہیں
ان کے ملن سے روح کو تسکین ملتی ہے
جیسے سینے میں برف اُتار دیتے ہیں
!!!!میں تو اُن کا مُرید ہوگیا ہوں ۔۔۔۔دوستوں
جو خوابوں میں بھی ملے تو،روح تک نکھار دیتے ہیں
~یہ تو تمہاری ہماری نظروں کا هیر پھیر ہے،بہارے
ورنہ وہ تو دلوں میں رہتے ہیں
دلوں کو آباد کرتے ہیں
(اِرم شہزادی)
Beja husn pe ja mar mitte hain
Yeh husn wale bhi kya karte hain
Ahle zouq ye log hote hain
In ke bhi kya nirale shouq hote hain
Mehboob ki adaon pe fida hote hain
Ye dil phenk bhi bala ke hote hain
Ye apni bhi adaon se maar dete hain
Zulf ko jis ada se sanwar dete hain
In ke Milan se rooh ko taskeen milti hai
Jaise seene mein barf utaar dete hain
Main to un ka mureed ho gaya hoon….. doston!!!!
Jo khwabon mein bhi mile to, rooh tak nikhar dete hain
Ye to tumhari humari nazron ka her pher hai, Baharey
Warna woh to dilon mein rehte hain
Dilon ko aabad karte hain,
(Iram Shehzadi)
For more Urdu and English poetry available on The Beam Magazine, CLICK HERE.
Zabardast..!!🔥
Khoob ❤❤